Tuesday, 24 May 2011

Best Ghazal

KAROn NA YAAD MAGAR KIS TARAH BHULAAOn USEY
GHAZAL BAHANA KAROn AUR GUNGUNAAOn USEY

WO KHAAR KHAAR HAI SHAAKH-E-GULAB KI MANIND
MAIn ZAKHM ZAKHM HOOn PHIR BHI GALEY LAGAAOn USEY

YE LOG TAZKIREY KARTEY HAIn APNEY LOGOn KE
MAIn KAISEY BAAT KAROn AB KAHAAn SE LAAOn USEY

MAGAR WO ZOOD FARAMOSH ZOOD RAnJ BHI HAI
KE ROOTH JAAYE AGAR YAAD KUCHH DILAAOn USEY

WOHI JO DAULAT-E-DIL HAI WOHI JO RAAHAT-E-JAAn
TUMHARI BAAT PE AYE NAASIHO! GAnWAAOn USEY

JO HUMSAFAR SAR-E-MANZIL BICHHAD RAHA HAI FARAZ
AJAB NAHIEn HAI AGAR YAAD BHI NA AAOn USEY ....